Ankhe jaane kyu aaj nam hai,
Manzil se bas ek hi faasla kam hai,
Soch nayi rakhu toh yaad puraani aati hai,
Shaayad koi lakeer in haatho mein hi kam hai.
Ankhe jaane kyu aaj nam hai,
Manzil se bas ek hi faasla kam hai.
Har rang ke nakshe hai is zindagi mein,
Bas ek rang hai jo kuch kam hai,
Barsaat to raat bhar huyi hai,
Is dariya mein barsaat ka pani kuch kam hai.
Ankhe jaane kyu aaj nam hai,
Manzil se bas ek hi faasla kam hai.
Tassavur ka chand jo aaya aaj is zameen par,
Kya hua yaha jo aaj roshan kam hai.
Duniya ke har sheher ke kone mein jhaakta hu,
Magar firbhi is dil ke kone mein kahi kuch kam hai,
Ankhe jaane kyu aaj nam hai,
Manzil se bas ek hi faasla kam hai.
Kyu bujh rahe hai, yeh roshan chiraagh aaj,
Jab in hawao ki raftaar bhi kuch kam hai.
Sab kuch yaha kuch kam kam sa hai.
Sab kuch yaha kuch madhdham sa hai.
Ankhe jaane kyu aaj nam hai,
Manzil se bas ek hi faasla kam hai.
Lo ab badle apna manzar,
Isi soch ko firse parakh kar dekhe.
Ankho ka har ek moti, is dhundh ko cheerta hua,
Manzil ko jaise roshan kar raha ho.
Har soch yaad yeh dila rahi ho jaise,
Ki ab bas ek kadam ka hi faasla raha hai is manzil se,
In haatho ki lakeero ka, nakshatro ki gardisho ka mujhe karna kya hai,
Hai aisi konsi lakeer, konsa aisa nakshatra jo meri soch se, mere khwaab se bada hai,
Maine apne inhi ashkon se har pal, har rang ke nakshe banaye,
Aur jab thi meri aankhe kuch nam tab in ashkon ne jaane kitne rang ke indradhanu banaye,
Ab koi aisa rang nahi jo kahu ki aaj yeh kuch kam hai,
Ashkon ki nami bhi aaj kuch kam hai.
Jo aaya tassavur ka chand zameen par,
Jugnu hi the jinhone uska rasta roshan kiya,
Jaha kahi bhi main gaya, manzil ko khojne apni,
Log bas hamesha mujhe meri soch ke jaise hi mile.
Raftaar dheemi thi in hawao ki, aur jo chiraagh bujh rahe the,
Mere ankho ke noor se fir jagmaga uthe.
Ek chiraagh ne pura andhera cheer diya,
Aur roshan kar diya yeh zamaa saara.
Kami thi jo bhi wo meri soch mein hi thi,
Jab yeh soch badli to kami bhi kam ho gayi.
Jab yeh soch badli to kami bhi kam ho gayi.
{http://soundcloud.com/kkonline-org/kuch-kam-hai}
Kuch Kam Hai
- Written by: Krishna Khanna
- Parent Category: Kuch Kalam Se
- Hits: 3348