Hume To Aadat Hai

Gham-e-zindagi tu yun udhas na ho,
Hume to aadat hai har sitam mein muskuraane ki.

Kal jo dekhe the, aaj woh saare khwaab tute hai,
Hume to aadat hai har roz naye khwaab banaane ki.

Yeh andheri raat, fir is din par bhaari padi hai,
Is jugnu ko aadat hai andhero mein manzil paane ki.

Najaane kitni kashtiya tabaah huyi honge,
Magar is samandar ko aadat hai in toofano ki.

Aur kitni uljhegi meri yeh haseen zindagi,
Hume to aadat hai har uljhan ko suljhaane ki.

Ajnabi mile hume har anjaan sheher mein,
Hume to aadat hai inhe apna banaane ki.

Ab yeh faasle bhi mukhtasar honge jo hai hamaare darmayaan,
Hume to aadat hai tere kadamo ki aahat aane ki.

{http://soundcloud.com/kkonline-org/hume-to-aadat-hai}